Saturday, January 23, 2010

KYA BADAL JAYEGI SHIKSHA PRANALI—

Hamari shiksha pranali kaesi honi chahiye is baat ko lekar hamesha hi desh me bahesh hoti rahti hai, aur yahi ummed hai ki aage bhi hoti rahegi, lekin pichle dino Amir khan release hui film 3 idiots ne is bahesh ko aur tez kar diya hai, aur hamari moolyankan wyawastha par sawal khada kar diya hai, aur sawal sahi bhi hai kyonki hamari jo shiksha pranali hai wo kafi purani hai jise aaj bhi ghaseeta jar aha hai. Agar kuch badlao hua bhi hai to wo school ki building me class room ke furniture me ya architecture me. Jabki hamse alag paschimi deshon me chaatron ko apni pasand se visae chunne ki azadi hai. Aur ye bilkul sahi tariqa hai kyonki agar hum apni pasand se apna visae chunenge to hamari kamyabi ki garanti kahin zyada badh jati hai .

Hamare desh me ek class me salbhar me ek bar exam dena hota hai joki hamari safalta ya vifalta ka maapdand hota hai. Ab maan lijiye koi baccha exam ke waqt beemar ho jaye ya wo chotil ho jaye to uska asar uski padhai par padega jiske karan uske number ya to kam ayenge ya fir wo fail ho jayega aur isi aadhar par hum use kamjor maan lete hain, ye bilkul galat hai. hame ek class me kam se kam 3 bar exam lena chahiye aur mulyankan teeno exam ke aadhar par hona chahiye taki agar baccha kisi karan se ek bar exam na de paye to bache hue do exam me wo mehnat karke paas ho jaye taki uska saal kharab na ho.

Aaj hamare desh me school, collegon aur vishvidyalyon ka bahut teji se vistaar ho raha hai, par usme adhikans aese hain jo sarkar dwara banaye gaye maapdand ka palan nahin kar rahe jiske karan hajaron chatron ko shiksha se sambandhit bunyaden suwidha bhi nahi mil pati, yahan par sarkar ko sochna hoga kuch thos kadam uthaye jayen, taki is tarah ke school-collegon par pabandi lag sake. Idhar sarkar kuch harkat me zaroor dikhi hai aur usne 4 4 deemed university ki manyata radd karne ki baat ki hai.

3 idiots film me dikhaya gaya hai ki aaj hamare shikshak chatron ko zyada se zyada number lane ke hisab se padhane me lage hain aur chatra bhi unhi ka anusaran kar rahe hain .jabki hamare shikshak nai aavishkar ke liye protsahit nahi karte joki ghatak hai, wahin dusri taraf usi ko talented mana jata hai jinke 70-80 pheesdi se adhik ank hote hain, jabki ye maapdand bilkul galat hai, shikshakon ko nae avishkar ke liye bacchon ko protsahit karna chahiye aur chatron ko unki creativity ke aadhar par unke intelligent hone ya n hone ka maapdand hona chahiye.

Hamara samaj bhi is shiksha pranali ke liye bahut had tak jimmedar hai, mata-pita apni pasand ke anusar bacchon ko course karwana chahte hain,wae is baat ka khayal nahi karte ki akhir bacche ko kya pasand hai aur majburan bacche ko apni pasand na hote hue bhi course karna padta jiske karan wifalta haath lagti hai aur isi wajeh se aatmhatya ki ghatnaen bhi badh rahi hai. ab waqt aa gya hai ki hm apni soch ko badle aur badalti hui duniya ki nazakat ko bhi samjhe, bacchon ko unki pasand ke mutabik course ya vishae chunne ki azadi den.. yahan school aur college ko bhi thoda sochna hoga aur nae creative programme ko badhawa dena hoga taki bacche in programme me hissa le aur nai khojon ke liye tatpar rahe.

Isliye desh me pratibha badhane ke liye school aur college level par mulyankan pranali ko badalna chahiye sath hi sath chatron ko apni pasand ke mutabik course chunne ki aazadi deni chahiye isse chatron par pariccha ka bojh kam hoga aur wae mansik roop se majboot bhi banenge. iske liye shikshakon ko bhi nai jankariyon se laes karna hoga. Isme mukya bhumika college ki hogi aur iske liye sarkar ko bhi adhik dhyan dena hoga.

5 comments:

  1. i think, u have try to written good but you have to need a little bit improve....

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mr Dhyan don't comment on others thoughts when you don't have such thinking its a humble request to you. He has written what came in his mind Okkkk.

      Delete
    2. Mr Dhyan don't comment on others thoughts when you don't have such thinking its a humble request to you. He has written what came in his mind Okkkk.

      Delete
  2. wowww.... mr jalish u have a nice thought!

    ReplyDelete